Wednesday 24 October 2012

lily


Goli Aur Paigaam


Bahut kuch kulbulata hai bhitar
Jab galat hota dekh kar bhi
Chup rah jana hota hai
Anarth hota jaankar bhi
Anjaan ban janaa parta hai
Badi se badi anhoni per bhi
Chokna nahi nirvikaar rahna hota hai
Jane yah hamari vivshta hai ya kalyugi kamjori
Jisne hame danisho ke shreni me khara kiya hai.
Pratikaar karna virodh karna
Dakiyanushipan hai jo hame
Pragtisheel hone se rokte hai
Vaibhav ka aadamber chut jata hai
Jo hame loktantra ki agli pankti me khara karte hai.
Esliye hum samaadhan nahi samjhauto ki baat karte hai
Shanti nahi batchit ke aayam dhondhte hai.
Goliyan to nirdosh or sanik jhelte hai
Per hum paigam bhaijte hai
Tabhi to jeeti baji hum
Haar jate hai
Baar baar haar jate hai.