Wednesday, 19 December 2012

lily birthday

Ladki ek armaan ki
balihari mushkaan ki
lagti hai anjaan si
chillati hai tufaan si

khel palat jaata chhan me
bhar jaata umang man me
phirto dhoom machati hai
 gale lipate harshati hai

bachho ki mandali badi
jisme lagti swachand padi
pyaar lutati hai sabko
iski dunia hari bhari

shaam me jab din dhal jata hai
gend liye shishuoon ka dal jut jaata hai
lili lilishor macha hai
sabka man harshata hai

do hi varsh bitaya hai
itne me kya paya hai
hansi khushi ki chhap liye hi
naya janmdin aaya hai

---- nanaji on 2nd birthday of lily

Lily ji ki kavita

Dekh paratha aaloo ka
ji lalchaya bhalu ka
bola main bhi khaunga
kuch ghar bhi le jaunga
lomdi boli na na na..
kuch ghar bhi le jana na
itna sek na paungi
khud bhookhi rah jaungi

Wednesday, 24 October 2012

lily


Goli Aur Paigaam


Bahut kuch kulbulata hai bhitar
Jab galat hota dekh kar bhi
Chup rah jana hota hai
Anarth hota jaankar bhi
Anjaan ban janaa parta hai
Badi se badi anhoni per bhi
Chokna nahi nirvikaar rahna hota hai
Jane yah hamari vivshta hai ya kalyugi kamjori
Jisne hame danisho ke shreni me khara kiya hai.
Pratikaar karna virodh karna
Dakiyanushipan hai jo hame
Pragtisheel hone se rokte hai
Vaibhav ka aadamber chut jata hai
Jo hame loktantra ki agli pankti me khara karte hai.
Esliye hum samaadhan nahi samjhauto ki baat karte hai
Shanti nahi batchit ke aayam dhondhte hai.
Goliyan to nirdosh or sanik jhelte hai
Per hum paigam bhaijte hai
Tabhi to jeeti baji hum
Haar jate hai
Baar baar haar jate hai.